Gulshan-e-yaad mein gar aaj dam'ay baad-e-saba,
Phir se chahay ke gul-afshan ho, tu ho jaanay do,
Umer-e-rafta ke kisi taaq pe bisra hua dard,
Phir se chahay ke ferozaan ho, tu ho jaanay do,
Jaisay begana se ab miltay ho, waisay hi sahi,
Aao do char ghari meray muqabil betho,
Garcha mil bethein ge ham tum tu mulaqat ke baad,
Apna ahsas-e-ziyaan aur ziyada hoga,
Hum sukhan hongay jo ham donu tu har baat ke beech,
Unkahi baat ka mohoom sa pardah hoga,
Koi iqrar na mein yaad dilaaonga na tum!
Koi mazmoon wafa ka na jafa ka hoga,
Gard-e-Ayyaam ki tehreer ko dhonay ke liye,
Tum se goya hoon dam-e-deed jo meri palkein,
Tum jo chaho tu suno, Aur jo na chaho na suno,
Aur jo harf karein mujh se guraizaan aankhein,
Tum jo chaho tu kaho aur jo na chaho na kaho
Delicious
Digg
Facebook
Google
Yahoo

